us ki ek duniya hun main aur meri ek duniya hai wo dasht mein tanha hun main aur shahr mein tanha hai wo main bhi kaisa aaina hun aaina-dar-aina dur tak chehra-ba-chehra bas nazar aata hai wo us ki khush-bu se mahak kar phul ban jata hai dil mausam-e-gul ki tarah aata hai wo jata hai wo zindagi apni musalsal chahaton ka ek safar is safar mein bar-ha mil kar bichhad jata hai wo khwab kya hai ek khandar hai ye khandar kitna hasin is khandar mein sair karne ke liye aata hai wo main sarapa aarzu hun aarzu-e-na-tamam mujh ko har manzil se aage ki khabar deta hai wo husn kya hai ek ghazal hai 'ashk' ek taza ghazal jam hai mina hai wo saghar hai wo sahba hai wo