sadma har-chand tere jaur se jaan par aaya tis pe shikwa na kabhi meri zaban par aaya rast-keshon ki tuf-e-ah se dar ai sarkash tir phirta nahin jis waqt nishan par aaya mausam-e-sheb mein be-faeda hai lab-e-shabab kab samar dewe hai jo nakhl khizan par aaya dil-e-pur-khun ko mere ghuncha-e-taswir ki tarah lab-e-washud na kabhi raaz-e-nihan par aaya chashm-e-anjum pe nahin abr se wo roz-e-siyah jo mere dida-e-khun-nab-chakan par aaya raat ko dekh ke ai mah tujhe ghair ke sath tana-zan dil ka mere gul ke katan par aaya ho ke ustad dabistan-e-sukhan mein 'sauda' sher ke qaeda danan-e-jahan par aaya