zulmat-gah-e-dauran mein subh-e-chaman-e-dil hun roko na safar mera main qismat-e-manzil hun zindani-e-hasti hun paband-e-salasil hun kis tarah milun tum se khud rah mein hail hun barbaad sahi lekin barbaad-e-gham-e-dil hun aankhon se laga mujh ko gard-e-rah-e-manzil hun ai sang-ba-kaf duniya aa shauq se aa lekin aahista qadam rakhna main shisha-gah-e-dil hun mauj-e-gham-e-jaanan ho ya mauj-e-gham-e-dauran aane do mere dil tak har mauj ka sahil hun hasti ko gham-e-alam aalam ko gham-e-hasti zindan se bayaban tak ek silsila-e-dil hun tum mahw-e-khud-arai mein aalam-e-tanhai tum mahfil-e-khalwat ho main khalwat-e-mahfil hun khun apni tamanna ka khud kis ne kiya hoga mujh par na taras khao bismil nahin qatil hun gulshan se 'shamim' aakhir kis tarah guzar jaen har phul ye kahta hai main pyar ke qabil hun