sadme guzre iza guzri hijr mein tere kya kya guzri hijr mein jaan rahi ya guzri 'rind' kaho tum par kya guzri kya kahun tujh se haal-e-furqat guzri jo kuchh jaana guzri ulfat-e-but ne kar diya kafir ye kya bar-e-khudaya guzri aae nahin tum arsa guzra mana kiya kis ne kya guzri guzre jis dam hum duniya se hum ne jaana duniya guzri bahr-e-jahan mein zist hamari shakl-e-habab-e-dariya guzri kis se kahiye kaun sunega kya kya guzra kya kya guzri kahta tha main ishq se baz aa dekha jo dil-e-shaida guzri mar bhi gae hum wah-ri ghaflat un ko khabar bhi na asla guzri ab to hai shaghl-e-khun-ashami naubat-e-jam-o-mina guzri kafir par bhi na guzre aisi hum par jo but-e-tarsa guzri waqt-e-marg ye ji mein guzra zindagi apni beja guzri nala kaisa aah nahin ki kya kya tujh bin iza guzri tut chuka hai rishta-e-ulfat yas hai ab to tamanna guzri dusra tujh sa koi na dekha pesh-e-nazar ek duniya guzri dekh ke haal-e-mariz-e-furqat haalat hum pe masiha guzri qabil-e-did na dekhin aankhen muddat nargis-e-shahla guzri ghash kyun aaya hum se to kahiye kya kuchh hazrat-e-musa guzri kyun-kar jheli aafat-e-furqat 'rind' kaho dil par kya guzri