to kya tadap na thi ab ke mere pukare mein wagarna wo to chala aata tha ishaare mein wo baat us ko batana bahut zaruri thi wo baat kis liye kahta main istiare mein mudam hijr-kade mein wo yaad raushan hai kahan hai ai dil-e-nakaam tu khasare mein mere alawa sabhi log ab ye mante hain ghalat nahin thi meri rae us ke bare mein faqir hai pa karamat kisi ne dekhi nahin guzar-basar hi kiya karta hai guzare mein