sae ke haq mein kuchh nahin mere bayan mein

sae ke haq mein kuchh nahin mere bayan mein
jo aap chhupta phirta hai har saeban mein

ye chhote chhote shauq bhi us ko rawa nahin
jis ko bada banaya gaya khandan mein

mujh ko hai aadmi se tawaqqo khulus ki
sona talash karta hun mitti ki kan mein

qad se nahin banai hai pahchan jast se
ye farq hai hamari tumhaari uthan mein

mitti mein milne wale hain kal us ke chithde
udti rahe patang bhale aasman mein

chup rah sake jo aadmi chup ke maqam par
ye khamushi ho zumra-e-fauq-ul-bayan mein

ab tak hamein khabar hi nahin thi kamal hai
nikle hain hum bhi aap ke dil-dadgan mein

fitrat se kachche-pakke talluq ki baat kya
mitti ki bas tak nahin pakke makan mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close