sae majbur hain pedon se utarne ke liye kyun khizan kahti hai patton se bikharne ke liye bhar ke mutthi mein to le jaegi baadal ko hawa koi shab aaegi taron se sanwarne ke liye us ko do pal bhi mera sath gawara na hua sath mein jis ke main tayyar tha marne ke liye kahin aisa to nahin hai ki hawa ruth gai muntazir phul hain baghon mein bikharne ke liye kis bahane se tujhe dekhne aae 'jawed' koi rasta ho tere dar se guzarne ke liye