gulshan mein junun ka mujhe saman nazar aaya jo phul khila chaak-gareban nazar aaya har shai mein tera husn-e-darakhshan nazar aaya jis chiz ko dekha mah-e-taban nazar aaya jis ne use dekha wo giraftar-e-bala tha taswir ka aaina bhi hairan nazar aaya yarab koi had bhi hai pareshan-nazar ki furqat mein chaman mujh ko bayaban nazar aaya gulshan mein khile gul to hawa chal gai aisi sabit na kisi ka bhi gareban nazar aaya aaine mein kya dekh liya kaun batae zulfon ki tarah khud wo pareshan nazar aaya phir tur pe jaane ki zarurat hamein kya thi jab aankh uthi jalwa-e-jaanan nazar aaya tasir nai fasl-e-bahaaran mein ye dekhi daman ki jagah hum ko gareban nazar aaya ai ishq bahut tu ne to dekha hai zamana mujh sa bhi koi be-sar-o-saman nazar aaya hai husn ki sarkar mein tausif wafa ki wo kahte hain 'shankar' hamein insan nazar aaya