sae sapne taswiren hain koi kis se baat kare

sae sapne taswiren hain koi kis se baat kare
koi akela tanha tanha kaise basar auqat kare

man ke panw tut chuke hain josh-e-ana bhi thanda hai
ab ye mera main bechaara kaise kis ki mat kare

khwabon ke matwale dil ko ye khwahish to rahti hai
un ke rukh se subh tarashe zulf se un ki raat kare

tum ho mere sangi-sathi donon ko samjhaya jab
meri aql se mera hi dil kaise do do hat kare

isi liye main sab se ziyaada apne aap se darta hun
mujh par koi zulm kare to meri apni zat kare

us se aankh mili hai jab bhi aksar dhoka khaya hai
mera man rakhne ko shayad abhi wo mujh se baat kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close