sahra se dur rahti hai fasl-e-bahaar kyon

sahra se dur rahti hai fasl-e-bahaar kyon
ye jaan kar bhi us ko rahe intizar kyon

sangam hai rang-o-bu ka shagufta hai har gulab
shabnam ko le ke aankhon mein hai sogwar kyon

jab tujh ko jaan-o-dil mein bhi tahlil kar liya
phir aae lab pe nam tera bar bar kyon

teri wafa pe dil ko bharosa to hai magar
karta hai phir sawal mujhe eatibar kyon

jab main ne tere panw pe sar apna rakh diya
be-sar ko aise deta hai phir ikhtiyar kyon

hai iztirab-e-dil bhi agar pyar ka asar
dete ho phir kabhi kabhi dil ko qarar kyon

tujh se udhaar mangi thi aankhon ki raushni
andhe ko mil saki na magar rahguzar kyon


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close