saf auraq hain likhne ki jagah khali hai yani us mang mein tare ki jagah khali hai nahr ke par gaya yar nahin palta kabhi car mein ab bhi kamine ki jagah khali hai koi khush-rang dilasa hai to likhte jao meri diwar pe nare ki jagah khali hai aaj bhi khat pe bosida badan dekhta hun bap ke baad bhi kone ki jagah khali hai chaak par rakkhi hui duniya mukammal kar do aakhiri jism pe chehre ki jagah khali hai meri ghazlen hain sabhi baad tere be-matla sare naghmat mein mukhde ki jagah khali hai mazarat yar naya ishq nahin ho sakta dil mayassar hai na sine ki jagah khali hai