dard darman se kam to kya hoga yahi hoga ki kuchh siwa hoga kis qayamat ka samna hoga bujh gaya dil to aah kya hoga khul gae hain khushi se sab ke dahan zakhm-e-dil koi chhu gaya hoga husn ko chahe aur dur rahe koi hum sa bhi parsa hoga maut aaegi aur na aaegi tum na aae to aur kya hoga dil pe angare se baraste hain dhyan rahat ka aa gaya hoga sham hi se hai dil ki haalat ghair subh tak to na jaane kya hoga lakh de ranj lakh zulm kare dilruba phir bhi dilruba hoga wo mujhe mil gae zahe tala na mila dil se dil to kya hoga ye bhi koi karahne ki hai baat kuchh 'jigar' dard badh gaya hoga mit gaya dil jigar qarar nahin is mohabbat ka hashr kya hoga rukh jo us ne 'jigar' se pher liya dagh dil ka dikha diya hoga