saf kab imtihan lete hain wo to dam de ke jaan lete hain yun hai manzur khana-virani mol mera makan lete hain tum taghaful karo raqibon se jaanne wale jaan lete hain phir na aana agar koi bheje nama-bar se zaban lete hain ab bhi gir pad ke zof se nale satwan aasman lete hain tere khanjar se bhi to ai qatil nok ki nau-jawan lete hain apne bismil ka sar hai zanu par kis mohabbat se jaan lete hain ye suna hai mere liye talwar ek mere mehrban lete hain ye na kah hum se tere munh mein khak is mein teri zaban lete hain kaun jata hai us gali mein jise dur se pasban lete hain manzil-e-shauq tai nahin hoti thekiyan na-tawan lete hain kar guzarte hain ho buri ki bhali dil mein jo kuchh wo than lete hain wo jhagadte hain jab raqibon se bich mein mujh ko san lete hain zid har ek baat par nahin achchhi dost ki dost man lete hain mustaid ho ke ye kaho to sahi aaiye imtihan lete hain 'dagh' bhi hai ajib sehr-bayan baat jis ki wo man lete hain