safar hoga nahin jab khak khak udti rahegi misal-e-gardish-e-aflak khak udti rahegi tariq-e-ishq mein har-gam hai andesha-e-gham sanbhal chaliyo aziyyat-nak khak udti rahegi badan ki hairaton se mat nikaliyo barishon mein jal utthi ye agar poshak khak udti rahegi tamasha-gar ye aatish-baz sare be-khabar hain jo phaili aag ibrat-nak khak udti rahegi bas ab kuchh din khas-o-khashak ho jaega sab kuchh bas ab kuchh roz phir saffak khak udti rahegi musafir rah lega manzilon ki aur aqab mein in aankhon se bahut namnak khak udti rahegi dikhai bhi nahin degi badan gharqab karke miyan-e-wasl ek chaalak khak udti rahegi dukan-e-dil badha denge agar bazar mein hum barahna sar wahan bebak khak udti rahegi koi taraj karne bastiyan aa jaega aur zamin hoti rahegi chaak khak udti rahegi