sakit hai badan khwab ki lazzat se guzar kar hairat mein hai dil kucha-e-hairat se guzar kar ek nakhl-e-shanasai mein rukna pada ta-der paya use phir dasht-e-wazahat se guzar kar shamshir dua karke musalle se uthai phir jang pe nikla main ibaadat se guzar kar ek zakhm ke andar bhi to hota hai kahin zakhm bharta jo nahin kar-e-jarahat se guzar kar ek qaid-e-musalsal hai ki har din meri tanhai kamre mein chali aati hai khilqat se guzar kar dushman ke taaqub mein thi mushkil badi darpesh jaana tha mujhe mal-e-ghanimat se guzar kar manzar pas-e-manzar mein chhupa hai kahin uryan taswir mein parde ki riayat se guzar kar main nind mein chal kar hi utha launga mahtab is khwab ki bosida imarat se guzar kar tha kar-e-zarurat bhi giran kar-e-junun par malum hua ranj-e-maishat se guzar kar main der se pahuncha tha so baalon mein laga phul murjha hi gaya lams ki hasrat se guzar kar us shokh se nadim hai meri taqat-e-guftar har lafz ada hota hai luknat se guzar kar