safar jis mein na ho to ham-safar achchha nahin lagta gawara kar liya jae magar achchha nahin lagta jo sach puchho to ghar ki sari raunaq us ke dam se hai wo jaan-e-jaan na ho ghar mein to ghar achchha nahin lagta hatak-amez nazron se koi dekhe jahan hum ko qadam rakhna bhi us dahliz par achchha nahin lagta khudawanda tera banda jo mange us ko mil jae dua-e-dil ho mahrum-e-asar achchha nahin lagta kisi ki justuju hai jo liye phirti hai barson se hamein phirna agarche dar-ba-dar achchha nahin lagta takhayyul ko par-e-parwaz dena bhi zaruri hai baghair us ke khalaon ka safar achchha nahin lagta har ek pal nit-nae jalwon ki shaidai hon jo aankhen koi ek chehra un ko raat-bhar achchha nahin lagta kisi sarkash ke aage sar agar jabran bhi jhuk jae wabaal-e-dosh ho jata hai sar achchha nahin lagta meri rudad-e-gham par tursh lahje mein kaha us ne ye rona roz-o-shab sham-o-sahar achchha nahin lagta rulata bhi hai wo zalim mujhe phir ye bhi kahta hai tera daman hai kyun ashkon se tar achchha nahin lagta uchhaala karte hain aksar 'waqar' auron ke aibon ko wo jin ko parda-poshi ka hunar achchha nahin lagta