kuchh ne aankhen kuchh ne chehra dekha hai sab ne tujh ko thoda thoda dekha hai tum par pyas ke mani khulne wale nahin tum ne pani pi kar dariya dekha hai jin hathon ko chumne aa jate the log aaj unhin hathon mein kasa dekha hai roti aankhen ye sun kar khamosh huin malbe mein ek shakhs ko zinda dekha hai baba bola meri qismat achchhi hai us ne shayad hath tumhaara dekha hai lagta hai main pyas se marne wala hun main ne kal shab khwab mein sahra dekha hai andhi duniya ko main kaise samjhaun in aankhon se main ne kya kya dekha hai qaidi raat ko bhagne wala hai 'tabish' us ne khwab mein khufiya rasta dekha hai