safar ka ek naya silsila banana hai ab aasman talak rasta banana hai talashte hain abhi ham-safar bhi khoe hue ki manzilon se udhar rasta banana hai sametna hai abhi harf harf husn tera ghazal ko apni tera aaina banana hai mujhe ye zid hai kabhi chand ko asir karun so ab ke jhil mein ek daera banana hai sukut-e-sham-e-alam tu hi kuchh bata ki tujhe kahan pe khwab kahan rat-jaga banana hai usi ko aankh mein taswir karte rahte hain ab us se hat ke hamein aur kya banana hai dar-e-hawas pe kahan tak jhukaen sar 'shahbaz' zaruraton ko kahan tak khuda banana hai