safar karo to ek aalam dikhai deta hai

safar karo to ek aalam dikhai deta hai
qad apna pahle se kuchh kam dikhai deta hai

main khushk shakh-e-khazan pe yunhi nahin baitha
yahan se abr ka parcham dikhai deta hai

magar tana hua rahta hai kam-nasibon se
ye aasman jo tumhein kham dikhai deta hai

har ek hath mein patthar kahan se aaenge
tamam shahr to barham dikhai deta hai

khud apne zakhm pe itna hazin na ho ki 'suhail'
saf-e-adu mein bhi matam dikhai deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close