safar mein ab bhi aadatan sarab dekhta hun main qarib-e-marg zindagi ke khwab dekhta hun main hawa ne harf-e-sada mere zehn se uda liya to ab har ek baat par kitab dekhta hun main bahaar ki sawariyon ke ham-rikab kyun rahe khizan ka barg-o-bar par itab dekhta hun main khada hun nok-e-khar par guman-dar-guman par khulega kab haqiqaton ka bab dekhta hun main ajib us ki sarwari nai hai shan har ghadi banon mein shahr, shahr mein sarab dekhta hun main nazar-fareb dhang hain sitamgaron ke rang hain nigah mein qahr hath mein gulab dekhta hun main ghazal se chhed-chhad ko gunah jaanta tha main magar ab is gunah mein sawab dekhta hun main 'suhail' sham dhal gai dukan apni badh gai zara si raushni hai aur hisab dekhta hun main