safar ke baad bhi safar ka ehtimam kar raha hun main ajib be-dili se har jagah qayam kar raha hun main ye baat baat par uthana hath bad-dua ke waste mera yaqin kar halal ko haram kar raha hun main ye log khwab aur phul se panah mangne lage bas itna soch kar hi baat ko tamam kar raha hun main har ek lafz par ukhad rahi hai bar bar sans ye mujhe to lag raha hai aakhiri salam kar raha hun main kuchh is tarah ki tohmaten lagai ja rahi hain mujh pe ab khamosh rah ke apne aap se kalam kar raha hun main