mom ki tarah pighal kar dekho phir kadi dhup ka manzar dekho karb hi karb hai sannate ka jhank kar tum mere andar dekho nind in palkon se katraegi aag hai waqt ka bistar dekho aa gae ho to mere shahr mein bhi aadmi nam ka khanjar dekho koi shishon ka masiha hi nahin dur tak dekho to patthar dekho silsila maujon ka jari hai yahan aao aankhon mein samundar dekho koi mausam ho mere ghar mein 'rafiq' wahi sahraon ka manzar dekho