safar ke baad bhi zauq-e-safar na rah jae khayal-o-khwab mein ab ke bhi ghar na rah jae main sochta hun bahut zindagi ke bare mein ye zindagi bhi mujhe soch kar na rah jae bas ek khauf mein hoti hai har sahar meri nishan-e-khwab kahin aankh par na rah jae ye be-hisi to meri zid thi mere ajza se ki mujh mein apne taaqub ka dar na rah jae hawa-e-sham tera raqs na-guzir sahi ye meri khak tere jism par na rah jae usi ki shakl liya chahti hai khak meri so shahr-e-jaan mein koi kuza-gar na rah jae guzar gaya ho agar qafila to dekh aao pas-e-ghubar kisi ki nazar na rah jae main ek or khada hun hisar-e-duniya ke wo jis ki zid mein khada hun udhar na rah jae