surkh sahar se hai to bas itna sa gila hum logon ka hijr charaghon mein phir shab bhar khun jala hum logon ka hum wahshi the wahshat mein bhi ghar se kabhi bahar na rahe jangal jangal phir bhi kitna nam hua hum logon ka aur to kuchh nuqsan hua ho khwab mein yaad nahin hai magar ek sitara zarb-e-sahar se tut gaya hum logon ka ye jo hum takhliq-e-jahan-e-nau mein lage hain pagal hain dur se hum ko dekhne wale hath bata hum logon ka bigde the bigde hi rahe aur umr guzari masti mein duniya duniya karne se jab kuchh na bana hum logon ka khak ki shohrat dekh ke hum bhi khak hue the pal bhar ko phir to taaqub karti rahi ek umr hawa hum logon ka shab bhar ek aawaz banai subh hui to chikh pade roz ka ek mamul hai ab to khwab-zada hum logon ka