safar ke naqshe mein chatiyal zamin banai gai ki us mein ek bhi jhadi nahin banai gai ye sarhaden to bahut baad mein banin pahle dilon ki tarah kushada zamin banai gai ghute ghute se kai dost bhi to rahne hain ye soch kar hi khuli aastin banai gai ghazal ghazal mein bada farq hai mere bhai kahin utari gai hai kahin banai gai kisi ne rangon mein 'rakib' gulab gundhe nahin kisi se shakl tumhaari nahin banai gai