ishq ka rog to wirse mein mila tha mujh ko dil dhadakta hua sine mein mila tha mujh ko han ye kafir usi hujre mein mila tha mujh ko ek momin jahan sajde mein mila tha mujh ko us ko bhi meri tarah apni wafa par tha yaqin wo bhi shayad isi dhoke mein mila tha mujh ko us ne hi bazm ke aadab sikhae the mujhe wo jo ek shakhs akele mein mila tha mujh ko manzil-e-hosh pe ek main hi nahin tha tanha yan to har shakhs hi nashshe mein mila tha mujh ko ye bhi ek aib tha meri hi nazar ka shayad roz kuchh farq sa chehre mein mila tha mujh ko aise haalat mein kya us se gila karta main raat suraj bhi andhere mein mila tha mujh ko main agar dub na jata to wahan kya karta ek samundar tha jo qatre mein mila tha mujh ko ruh ki pyas bujhana koi aasan na tha saf pani bade gahre mein mila tha mujh ko sach to ye hai ki yahan koi bhi manzil hi na thi wo bhi rasta tha jo raste mein mila tha mujh ko