safar ki dhul ko chehre se saf karta raha main us gali ka musalsal tawaf karta raha ye meri aankh ki masjid hai panw dhyan se rakh ki is mein khwab koi etakaf karta raha main khud se pesh bhi aaya to intiha kar di mujh aise shakhs ko bhi wo muaf karta raha aur ab khula ki wo kaba nahin tera ghar tha tamam umr main jis ka tawaf karta raha main lau main lau hun alaw main hun alaw 'nadim' so har charagh mera e'tiraf karta raha