bahut dil ko kushada kar liya kya zamane bhar se wada kar liya kya to kya sach-much judai mujh se kar li to khud apne ko aadha kar liya kya hunar-mandi se apni dil ka safha meri jaan tum ne sada kar liya kya jo yaksar jaan hai us ke badan se kaho kuchh istifada kar liya kya bahut katra rahe ho mughbachon se gunah-e-tark-e-baada kar liya kya yahan ke log kab ke ja chuke hain safar jada-ba-jada kar liya kya uthaya ek qadam tu ne na us tak bahut apne ko manda kar liya kya tum apni kaj-kulahi haar baithin badan ko be-libaada kar liya kya bahut nazdik aati ja rahi ho bichhadne ka irada kar liya kya