safar ki dhup ne chehra ujal rakkha tha wo mar gaya to sirhane visal rakkha tha hasin chehre kashida kiye the mitti se bala ka khak mein husn o jamal rakkha tha wo hashiyon mein tere surmagin mohabbat thi ki aainon mein koi aks dal rakkha tha falak ki sans ukhadne lagi to raaz khula ki aasman ko zamin ne sambhaal rakkha tha tera uruj tha suraj ke mand padne tak mere nasib mein shab sa zawal rakkha tha hisar-e-khwab se bahar kabhi nikal na sakun bichha ke rah mein palkon ka jal rakkha tha wo ek shakhs jo waqt-e-zawal mujh se mila sunahri aankhon mein us ki malal rakkha tha kisi ko sahra-nawardi se ishq lahaq tha kisi ko shauq ne ghar se nikal rakkha tha usi ne zahr undela hai meri nas nas mein jo aastin mein ek sanp pal rakkha tha