zamin par moajiza karne ki sazish buton ko dewta karne ki sazish hamara chikhna jismon ke andar khamoshi ko sada karne ki sazish darakhton par banana naqsha dil ke inhen goya hara karne ki sazish kushada ek qafas hai aasman bhi ise kije khala karne ki sazish hamin se manzilon ka kaam lena hamin ko rasta karne ki sazish ye har mausam parindon ko udana ye pinjron ko khafa karne ki sazish tujhe mujh se tawaqqoa hi nahin kuchh mujhe yani khuda karne ki sazish