safar mein aise kai marhale bhi aate hain har ek mod pe kuchh log chhut jate hain ye jaan kar bhi ki patthar har ek hath mein hai jiyale log hain shishon ke ghar banate hain jo rahne wale hain log un ko ghar nahin dete jo rahne wala nahin us ke ghar banate hain jinhen ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe wo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain kabhi jo baat kahi thi tere talluq se ab us ke bhi kai matlab nikale jate hain