waraq wahi tha magar dusri parat chahi

waraq wahi tha magar dusri parat chahi
ki main ne us ki mohabbat se manfat chahi

maza ajab tha mohabbat bhari ladai mein
ki chhed kar use fauri muzahimat chahi

bichhadte waqt use mud ke bhi nahin dekha
tamam umr judai mein aafiyat chahi

main aur hi tha juda hi tha is zamane se
aur us ne qais ke jaisi mutabaqat chahi

khud apni zist ko barbaad kar liya aakhir
ki jis ne mujh se zara bhi munafiqat chahi

na jaane kyon mujhe thukra diya zamane ne
na sim-o-zar ki talab ki na saltanat chahi

bas ek bar mujhe khol kar padha 'abid'
phir us ne meri mohabbat se mazarat chahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close