safar mein har qadam yun to wabaal-e-jaan lagta hai

safar mein har qadam yun to wabaal-e-jaan lagta hai
munasib ham-safar ho to safar aasan lagta hai

siyasat ki ye tanzimen dukanen ban gain jab se
bikharta tutta sapnon ka hindostan lagta hai

badalte waqt ne rishton ki qadren tak badal dalin
agar bhai bhi ghar aae to wo mehman lagta hai

khushi se bojh yun bhi hum musibat ka uthate hain
musibat se bahut bhaari hamein ehsan lagta hai

koi patthar hawa khushbu kisi ke husn ka jalwa
ye kis ka muntazir kamre ka raushan-dan lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close