safar mein sochte rahte hain chhanw aae kahin ye dhup sara samundar hi pi na jae kahin main khud ko marte hue dekh kar bahut khush hun ye dar bhi hai ki meri aankh khul na jae kahin hawa ka shor hai baadal hain aur kuchh bhi nahin jahaz tut hi jae zamin dikhae kahin chala to hun magar is bar bhi ye dhadka hai ye rasta bhi mujhe phir yahin na lae kahin khamosh rahna tumhaara bura na tha 'alwi' bhula diya tumhein sab ne na yaad aae kahin