ho kyun na tere kaam mein hairan tamasha ya-rab teri qudrat mein hai har aan tamasha le arsh se ta-farsh nae rang nae dhang har shakl ajaib hai har ek shan tamasha aflak pe taron ki jhalakti hai tilismat aur ru-e-zamin par gul-o-raihan tamasha jinnat pari dew malak hur bhi nadir insan ajuba hai to haiwan tamasha jab husn ke jati hai muraqqa pe nazar aah kya kya nazar aata hai har ek aan tamasha choti ki gundhawat kahin dikhlati hai lahren rakhti hai kahin zulf-e-pareshan tamasha gar ishq ke kuche mein guzar kije to wan bhi har waqt nai sair hai har aan tamasha munh zard badan khushk jigar chaak alamnak ghul shor tapish nala-o-afghan tamasha hum past nigahon ki nazar mein to 'nazir' aah sab arz-o-sama ki hai gulistan tamasha