safar pe nikle to tanhaiyan bhi sath chalin tumhaari yaad ki parchhaiyan bhi sath chalin qadam qadam pe badha faslon ka sannata qadam qadam pe sabhi duriyan bhi sath chalin gulab-chehre bahut pichhe chhod aae magar tumhaare ganw ki ranginiyan bhi sath chalin wo sher sher faza wo ghazal ghazal shamen hasin lamhon ki sarmastiyan bhi sath chalin rafaqaton se mahakte tilismi sham-o-sahar mohabbaton ki ye purwaiyan bhi sath chalin wo khushbu khwab dhuan yaadon ke hasin mahtab tumhaari bazm ki ranaiyan bhi sath chalin chhalakta jae hai 'husna' khumar aankhon se nazar nazar ki ye be-khwabiyan bhi sath chalin