KHalwat mein KHayalon ki ye anjuman-arai

khalwat mein khayalon ki ye anjuman-arai
aabaad hai ab kitna virana-e-tanhai

aise bhi marahil kuchh aae rah-e-hasti mein
mahsus hua manzil khud pas chali aai

tu sham-e-masarrat hai gham-khana-e-imkan mein
dam se tere qaem hai har bazm ki ranai

hai yaad teri kya kya mail-ba-karam mujh par
guzre hue lamhon ko jo sath liye aai

pighle hue sone se ubhrin kai taswiren
dariya ke kinaron par jab dhup utar aai

is gulshan-e-hasti ka har rang nirala hai
jab rone lagi shabnam phulon ko hansi aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close