safar pe yun musir hun main ki hauslon mein jaan hai jo lut chuka yaqin tha jo bach gaya guman hai zamin ki kashish ka jal tod kar nikal gain magar ye tai hai chiyuntiyon ki aakhiri udan hai lahu ke nam likh diye hain tir abr-o-baad ke zamin hadaf bani hui hai aasman kaman hai wahi jo aadhi raat ko charagh ban ke jal utha kisi ki yaad ka nahin wo zakhm ka nishan hai mufahamat ke dew ka asir ho gaya 'nizam' meri ana ka wo parind jis mein meri jaan hai