safar sarabon ka bas aaj katne wala hai ki mere panw se dariya lipatne wala hai utho ki ab to tamazat ka zaiqa chakh len shajar ka saya shajar mein simatne wala hai to phir yaqin ki sarhad mein war kar mujh par guman ki dhund mein jab tir uchatne wala hai tu itna jis ki ziya-bariyon pe nazan hai ghubar-e-shab se wo chehra bhi atne wala hai ye ek saya ghanimat hai rok lo warna ye raushni ke badan se lipatne wala hai