safar se aae to phir ek safar nasib hua ki umr-bhar ke liye kis ko ghar nasib hua wo ek chehra jo barson raha hai aankhon mein kab us ko dekhna bhi aankh-bhar nasib hua tamam-umr guzari usi ke kandhe par jo ek lamha hamein mukhtasar nasib hua hawa mein hilte hue hath aur nam aankhen hamein bas itna hi zad-e-safar nasib hua hua ke rukh se pur-ummid tha bahut gulshan par ab ke bhi shajar be-samar nasib hua bulandiyon ki hawas mein jo sab ko chhod gae kab un parindon ko apna shajar nasib hua labon se niklin idhar aur udhar qubul huin kahan duaon mein aisa asar nasib hua idhar chhupaen to khil jaen dusri jaanib libas-e-zist zara mukhtasar nasib hua 'salim' chaaron-taraf tirgi ke jal ghane pa hum ko neshtar-e-be-zarar nasib hua