safar se mujhko bad-dil kar raha tha

safar se mujh ko bad-dil kar raha tha
bhanwar ka kaam sahil kar raha tha

wo samjha hi kahan us martabe ko
main us ko dukh mein shamil kar raha tha

hamari fath thi maqtul hona
yahi koshish to qatil kar raha tha

koi to tha mere hi qafile mein
jo mera kaam mushkil kar raha tha

wo thukra kar gaya is daur mein jab
main jo chahun wo hasil kar raha tha

teri baaton mein yun bhi aa gaya main
bhatakne ka bahut dil kar raha tha

koi mujh sa hi diwana tha shayad
jo virane mein mahfil kar raha tha

ye dil khud-gharz dil gham-khwar tera
khushi gham mein bhi hasil kar raha tha

samajhta tha main sazish aaine ki
mujhe mere muqabil kar raha tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close