rang yahan bahut magar rang se kaam bhi nahin teri ye bazm-e-ab-o-gil dil ka maqam bhi nahin bas ki kahin na jag uthen soi hui qayamaten ye to khiram-e-hashr hai hashr-khiram bhi nahin meri namaz-e-kaif mein sajda kahan rukua kya saqi-e-mast ki qasam hosh-e-imam bhi nahin husn tamam guftugu ishq tamam khamushi raf-e-shukuk bhi nahin qat-e-kalam bhi nahin mai se agar gurez hai sajda to khum ko kijiye baada haram ho to ho sajda haram bhi nahin