safar se pahle sarabon ka silsila rakh aae har ek mod pe aashob ek naya rakh aae kahan bhatakti phiregi andheri galiyon mein hum ek charagh sar-e-kucha-e-hawa rakh aae tamam umr safar se gharaz rahi hum ko har ikhtitam pe hum ek ibtida rakh aae bhatak na jae musafir koi hamare baad so rah-e-shauq mein hum apne naqsh-e-pa rakh aae ye be-samaat o be-chehra basarat log ye pattharon mein kahan aap aaina rakh aae