safar tamam hua gard-e-justuju bhi gai teri talash mein nikli to aarzu bhi gai ek intizar sa tha barf ke pighalne ka phir us ke baad to ummid-e-abju bhi gai talab ki rah mein aise bhi mod aae hain ki harf-o-saut gaya shokhi-e-gulu bhi gai ye barg-o-bar kahan jazib-nazar thahre tumhaare baad to phulon se rang-o-bu bhi gai kuchh aise khak udai hai dasht-e-hu mein 'jamal' ki jazb-e-shauq bhi tafriq-e-ma-o-tu bhi gai