maza aata kisi surat agar tark-e-wafa hota tumhaari tarah main bhi be-wafa hota to kya hota musibat ho gai aakhir tamanna ki giraftari agar be-muddaa hota to banda bhi khuda hota ye shan-e-be-niyazi hai khuda malum hota hai khuda malum kya hota agar wo but khuda hota na rahta yun pareshan raat din main fikr-e-darman mein jo mujh ko dard dena tha to be-darman diya hota hamari na-umidi ka to hai ilzam qismat par tumhaara muddaa hota to manzur-e-khuda hota hota kisi ke pas dil hota to sharh-e-dard-e-dil karte ye hasrat rah gai hum ko koi dard-ashna hota azal se sokhta-saman hun fikr-e-ashiyan kya ho na girti barq to ye soz-e-dil se jal gaya hota na mujh se iltija hoti na khud wo mehrban hote guzar hota bhi un ki bazm mein apna to kya hota dam-e-akhir mariz-e-gham khuda malum kya kahta na hote mehrban sun kar magar sun to liya hota hamari be-kasi bhi ek na ek din kaam aa jati agar 'bekhud' koi hum be-kason ka bhi khuda hota