safar tawil hai bar-e-hayat kam kar lo

safar tawil hai bar-e-hayat kam kar lo
jo ho sake to mujhe bhi sharik-e-gham kar lo

kisi ka zikr to aae tumhaare nam ke sath
waraq hayat ka sada hai kuchh raqam kar lo

agar ye shauq ki duniya tumhein salami de
to pahle apne liye khud ko mohtaram kar lo

jo munhasir hai lahu par chaman ki zarkhezi
to phir hamare lahu se ye khak nam kar lo

doi ka karb bada jaan-gudaz hota hai
tum apni zat mein mujh ko abhi se zam kar lo

dilon mein fasle paida hue hain nafrat se
ba-nam-e-mehr-o-wafa faslon ko kam kar lo

muzahimat se na pahunchega koi faiz tumhein
kata lo gardanen ya phir saron ko kham kar lo

na hogi hum se parastish ubharte suraj ki
ab ikhtiyar hai tum ko ki sar qalam kar lo

subuk-khiram hain kitne hi rah mein 'talib'
bichhad na jae koi sab ko ham-qadam kar lo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close