ummid un ki kam hi sahi aarzu to hai manzil hamein mile na mile justuju to hai amrit ki aarzu ne kaho tum ko kya diya hum log zahr-nosh sahi aabru to hai duniya mein hum kuchh aise tahi-dast bhi nahin ajdad ka hamari ragon mein lahu to hai ahbab ko to maslahat-andeshiyon se kaam aaina saf-go hi sahi ru-ba-ru to hai diwana pa-shikasta o shorida-sar sahi lekin ba-pas-e-husn-e-wafa surkh-ru to hai ai dost aaj kyon hain ye wahshat-nawaziyan han hum nahin hain sahib-e-idrak tu to hai 'talib' ye kya zarur ki ho zikr-e-khair hi yaron ke darmiyan teri guftugu to hai