safhe pe kab chaman ke hawa se ghubar hai

safhe pe kab chaman ke hawa se ghubar hai
ye apne sar pe khak udati bahaar hai

shabnam ka kuchh nahin gul-e-nargis o pur-asar
ye dekh lo bahaar ki chashm ashk-bar hai

ye shakh-e-gul pe ghuncha-e-gul se bahaar ka
yaro dil-e-girafta dekho aashkar hai

hota hai gul ki tarz se izhaar is tarah
ye para para daman-o-jeb-e-bahaar hai

gulshan ke bich ye gul-e-sad-barg nin hai zard
ai aashiqo bahaar ka rang-e-azar hai

gulshan ke bich kahte hain ye jis ko lala-zar
so nau-bahaar ka jigar dagh-dar hai

patthar se mar mar ke sar roti hai bahaar
jis ko chaman mein kahte hain ye aabshaar hai

ye haal-e-khasta dekh chaman mein bahaar ka
hasrat se mere dil ke upar khar khar hai

gulshan ki tarah se mujh rangin-dilon ke bich
hai khushnuma wo jeb ki jo tar tar hai

sad-chaak gul ka sun ke hua jaib-e-pairahan
yan tak to pur asar se fughan-e-hazar hai

ek bulbul-e-asir se puchha mein kis liye
aane ka fasl-e-gul ke tujhe intizar hai

kahne lagi wo uqda-e-khatir ko khol kar
gul gul shagufta hun main sunun jo bahaar hai

aankhon se dil ke did ko mane nahin nafas
aashiq ko ain-hijr mein bhi wasl-e-yar hai

us shama-ru pe dil se tasadduq hai balki 'ishq'
parwana-war jaan se har-dam nisar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close