safina le gae maujon ki garm-joshi mein hazimat aai nazar jab kinara-koshi mein nasha chadha to zaban par na ikhtiyar raha wo munkashif hue khud apni baada-noshi mein bana liya use sani phir apni fitrat ka sukun jo milne laga un ko zahr-noshi mein qubul rabb-e-karim-o-rahim ne kar li meri zaban pe jo aai dua khamoshi mein khuli zaban to zarf un ka ho gaya zahir hazar bhed chhupa rakkhe the khamoshi mein pasand ki na zamane ne sadgi meri bharam rakkha hai khuda ne safed-poshi mein zad-e-itab mein un ke jo aa gae 'anwar' na jaane kah gae kya kya wo garm-joshi mein