meri khizan to sabz hui is khumar mein aane ka us ne wada kiya hai bahaar mein rakkhi hui hai laj meri mere ishq ne warna to kya rakha hua hai intizar mein ghar bhi mujhe to dasht sa lagta hai tere bin lagta nahin hai dil mera ujde dayar mein ab jo suluk tu kare ye zarf hai tera main aa gai hun aaj tere ikhtiyar mein raushan na ho saki kabhi ye sham-e-gham meri main ne jalae dip kai e'tibar mein meri wafa ke zikr pe us ki wo khamushi sare jawab mil gae is ikhtisar mein dekhi to hogi rah meri us ne bhi kabhi aaya bhi hoga ashk mere chashm-e-yar mein dekha hai main ne moajiza 'dilshad' aisa bhi hansne se us ke gul khile hain kunj-e-khar mein